Sunday, April 8, 2012

Ishq Mein Hum Tumhe Kya Batayein

Ishq Mein Hum Tumhe Kya Batayein, Kis Kadar Chot Khaaye Hue Hain,..
Maut Ne Humko Mara Hai Aur Hum, Zindagi Ke Sataaye Hue Hain,..

Usne Shaadi Ka Joda Pehankar, Sirf Chuma Tha Mere Kafan Ko,..
Bas Usi Din Se Jannath Ki Hoorein, Mujhko Dulha Banaaye Hue Hain…

Surkh Aankhon Mein Kajal Laga Hai, Rukh Pe Gazaa Lagaye Hue Hain,..
Aise Aaye Hain Mayyat Pe Meri, Jaise Shaadi Mein Aaye Hue Hain,..

Aye Lehat Apni Mitti Se Kehde, Daag Lagne Na Paaye Kafan Ko,..
Aaj Hi Humne Badle Hain Kapde, Aaj Hi Hum Nahaaye Hue Hain,..

Bikhri Zulfein Pareshaan Chehra, Ashq Aankhon Mein Aaye Hue Hain..
Aye Ajal Tehar Jaa Chand Lamhe, Wo Ayadat Ko Aaye Hue Hain,..

Dushmano Ki Shikayat Hai Baakhi, Doston Se Gila Kya Kareinge,..
Jhar Juke Jin Darrakhton Ke Patte, Phir Kahan Unke Saaye Hue Hain,..

Kya Hai Anjaam-E-Ulfat Patangon, Jaake Shamma Ke Nazdeek Dekho,..
Kuch Patango Ke Laashein Padi Hai, Par Kisi Ke Jalaaye Hue Hain,..

Katal Ke Waqt Sab Doston Ne, Ye Chukaya Mohabbat Ka Badla,..
Daal Di Khaakh Mere Badan Par, Ye Na Socha Nahaaye Hue Hain,..

Unki Tareef Kya Poochte Ho, Umar Saari Gunaaho Mein Guzri,..
Farsa Ban Rahe Hain Wo Aise, Jaise Ganga Nahaaye Hue Hain,..

Zindagi Mein Na Raas Aayi Rahat, Chain Se Ab Sone Do Lehat Mein,..
Aye Farishton Na Chedo Na Chedo, Hum Jahan Ke Sataaye Hue Hain,..

Khoi Khoi Si Bechain Aankhein, Bekarari Hai Chehre Se Zaheer,..
Hona Ho App Bhi Meri Tarah Ishq Ki Chot Khaaye Hue Hain

Food habits in Ayurved

The more you let Ayurveda and Yoga become the basis for your living, the easier living gets. Here are Some Ancient Indian Health Tips. - quo...