naseeb main subah to itna unhe bata dena
labo pe jaan hai surat zara dikha dena
mila naa dena tamanna khak main meri
naa hasraton ke gale par churi chala dena
janaza mera tehbaan main aaj thehra kar
azeezo rukh se kafan ko zara hata dena
tumhare haar ke baasi jo phool ho unko
mazare aashiqe laashaad par chada dena
ishq main hum tumhe kya bataye kis kadar chot khaye hue hai
maut ne humko maara hai aur hum zindagi ke sataye hue hai
usne shaadi ka joda pahan kar sirf chuma tha mere kafan ko
bas usi din se jannat ki hoorein muzko dulha banaye hue hai..
surkh aankho mai kaajal laga hai rukh par gaaza sajaye hue hai
aise aaye hai maiyat par meri jaise shaadi main aaye hue hai
ishq main hum tumhe kyaa bataye.
aye lahad apni matti se kehde daag lagne naa paaye kafan ko
aaj hi humne badle hai kapde aaj hi hum nahaye hue hai
ishq main hum tumhe kya bataye..........
Dushmanon Ki Shikayat Hai Beja Doston Say Gila Kya Karaingay
Jher Chukay Jin Darakhton Kay Pattay Phir Kahan Unke Saai Huai Hain
tum kya samJho tum kya jaaNo baat meri tanhaayee kee
Angdai Par Angdai Leti Hai Raat Judai Ki
kaun siyahi ghol raha tha waqt ke behte dariya mein
maine aankh jhuki dekhi hai aaj kisi harjee kee
wasl ki raat na jaane kyoon israar tha unko jaane par
waqt se pehle dhoob gaye taaron ne badi daanaee kee
udte udte aas ka panchi door ufaq mein doob gaya
rote rote baith gayee awaaz kisi saudaaee kee..
Kya Hai Anjaam-E-Ulfat Patangon, Jaake Shamma Ke Nazdeek Dekho,.. Kuch Patango Ke Laashein Padi Hai, Par Kisi Ke Jalaaye Hue Hain
Katal Ke Waqt Sab Doston Ne, Ye Chukaya Mohabbat Ka Badla,..
Daal Di Khaakh Mere Badan Par, Ye Na Socha Nahaaye Hue Hain,..
Un ki tareef kya poochte ho, umr saari gunahon mein guzri*
Paarsa ban rahe hain, wo aise jaise ganga nahae hue hain
Zindagi Mein Na Raas Aayi Rahat, Chain Se Ab Sone Do Lehat Mein,..
Aye Farishton Na Chedo Na Chedo, Hum Jahan Ke Sataaye Hue Hain,..
Khoi Khoi Si Bechain Aankhein, Bekarari Hai Chehre Se Zaheer,..
Hona Ho App Bhi Meri Tarah Ishq Ki Chot Khaaye Hue Hain
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Food habits in Ayurved
The more you let Ayurveda and Yoga become the basis for your living, the easier living gets. Here are Some Ancient Indian Health Tips. - quo...
-
Bisterno parorey, afankhya janore, hahakar sunio nisabdth nirovey, Bhural hui tumhi, bhural hui bura ki aur………. (Bisterno parorey...
-
Rajiv Dixit Research गर्म पानी के फायदे ■■■■■■■■■■■■■■■■■ अगर आप स्किन प्रॉब्लम्स से परेशान हैं या ग्लोइंग स्किन के लिए तरह-तरह ...
-
One of the students of Dhanvantari approached his teacher after finishing his full course of Ayurveda (the ancient Indian science of medicin...
No comments:
Post a Comment